manzar-e-sarw-o-saman yaad aaya
phir se gum-gashta watan yaad aaya
pichhe ab kya hai ghubar-e-rafta
dahr mein bagh-e-adan yaad aaya
baal-o-par TuT chuke the jis waqt
hamein parwaz ka fan yaad aaya
phir kisi shaKH pe koyal boli
phir tera rang-e-suKHan yaad aaya
awwal ek shaKHs ki yaad aai bahut
doem ek sanp ka phan yaad aaya
ek din socha ki ujle ho jaen
tan ko dhoya tha ki man yaad aaya
KHun sa rah gaya dil mein jo shaKHs
aaj phir ban ke chubhan yaad aaya
phir se dil Dub raha hai 'betab'
phir zamane ka chalan yaad aaya

Ghazal
Manzar-e-sarw-o-saman yaad aaya
Pritpal Singh Betab