malahat jawani tabassum ishaara
inhin kafiron ne to shaer ko mara
mohabbat bhi zalim ajab bebasi hai
na wo hi hamare na dil hi hamara
main tinkon ka daman pakaDta nahin hun
mohabbat mein Duba to kaisa sahaara
mujhe sath-e-gham par abhi tairne do
main Duba to Duba taghazzul ka tara
jo bismil bana de wo qatil tabassum
jo qatil bana de wo dilkash nazara
mohabbat ka bhi khel nazuk hai kitna
nazar mil gai aap jite main haara
tumhaari umangon ka kya puchhna hai
bahaaren tumhaari gulistan tumhaara
tumhaara 'nushur' aur tumhaara taKHayyul
mohabbat tumhaari to shaer tumhaara

Ghazal
Malahat jawani tabassum ishaara
Nushur Wahidi