main ye kis ke nam likkhun jo alam guzar rahe hain
mere shahr jal rahe hain mere log mar rahe hain
koi ghuncha ho ki gul ho koi shaKH ho shajar ho
wo hawa-e-gulistan hai ki sabhi bikhar rahe hain
kabhi rahmaten thin nazil isi KHitta-e-zamin par
wahi KHitta-e-zamin hai ki azab utar rahe hain
wahi taeron ke jhurmuT jo hawa mein jhulte the
wo faza ko dekhte hain to ab aah bhar rahe hain
baDi aarzu thi hum ko nae KHwab dekhne ki
so ab apni zindagi mein nae KHwab bhar rahe hain
koi aur to nahin hai pas-e-KHanjar-azmai
hamin qatl ho rahe hain hamin qatl kar rahe hain
Ghazal
Main ye kis ke nam likkhun jo alam guzar rahe hain
Obaidullah Aleem