main wo hun jis ka zamane ne sabaq yaad kiya
gham ne shagird kiya phir mujhe ustad kiya
husn-e-jaan-soz ne wahdat mein mujhe yaad kiya
main ye samjha ki mujhe ishq ne barbaad kiya
nahin malum wo main hun ki koi aur asir
sun raha hun ki giraftar ko aazad kiya
jis jagah khai thi Thokar wahin turbat thi meri
bhulne wale ne mushkil se mujhe yaad kiya
meri aahon ki hawaon mein na aa jaana tum
ye wahi hain ki jinhon ne mujhe barbaad kiya
KHana-e-qabr ajab chiz hai lekin main ne
itne TukDe ko bhi ek umr mein aabaad kiya
yas-o-ummid ke mabain hui KHatm hayat
ek ne shad kiya ek ne nashad kiya
tujh ko sab dete hain aawaz wo apne hon ki ghair
is taraf main ne moazzin ne udhar yaad kiya
main tha ek KHak ki chuTki to uDa jata hun
KHak ka wo bhi hai zarra jise sayyaad kiya
kis se lun dad-e-wafa kis ko dikhaun ye jafa
wo to parde mein hai jis ne mujhe ijad kiya
ishq mein apne hi hathon se hua do TukDe
dil-e-nakaam ne kar-e-sar-e-farhad kiya
na-tawani mein gire the jo lahu ke qatre
main to bhula hua tha dil ne bahut yaad kiya
ashk aankhon se gire KHun ragon mein jo na tha
main ne aaKHir adab-e-nashtar-e-fassad kiya
zarre zarre se meri KHak ye deti hai sada
rahe aabaad wo jis ne mujhe barbaad kiya
ek sannaTa sa aalam mein tha lekin main ne
fath bab-e-asar-e-nala-o-faryaad kiya
jitne shikwe hain tujhi se hain ki is aalam mein
mujh ko bulbul kiya sayyaad ko sayyaad kiya
rasta chalne ke qabil na raha ai hamdam
main ne manzil pe naya marhala ijad kiya
main to chyunTi ke kuchalne se hazar rakhta tha
phir mujhe kis ne tah-e-zanu-e-jallad kiya
itna zinda rahe hum jis se khulin mani-e-maut
subh-e-ijad mein qasd-e-adam aabaad kiya
bu nikalne lagi ghunchon se to phir Dar kis ka
ye KHabar sach hai to sayyaad ne aazad kiya
qabl-az-waqt phansa dam mein aur phanste hi
jo tamanna yahan lai thi use yaad kiya
aalam-e-husn hai wo naqsh-e-maani 'saqib'
jo meri tab-e-KHuda-dad ne ijad kiya

Ghazal
Main wo hun jis ka zamane ne sabaq yaad kiya
Saqib Lakhnavi