اردو हिंदी
Main wasl mein bhi shefta hasrat-talab raha | Shaahi Shayari
main wasl mein bhi shefta hasrat-talab raha

Ghazal

Main wasl mein bhi shefta hasrat-talab raha

Shefta Mustafa Khan

;

main wasl mein bhi 'shefta' hasrat-talab raha
gustaKHiyon mein bhi mujhe pas-e-adab raha

taghir waza ki hai ishaara wida ka
yani jafa pe KHugar-e-altaf kab raha

main rashk se chala to kaha be-sabab chala
is par jo rah gaya to kaha be-sabab raha

dam bhar bhi ghair par nigah-e-lutf kyun hai ab
ek umr main sitam-kash-e-chashm-e-ghazab raha

tha shab to aah mein bhi asar jazb-e-dil mein bhi
kyunkar na aae 'shefta' mujh ko ajab raha