main wahshat-o-junun mein tamasha nahin bana
sahra mere wajud ka hissa nahin bana
is bar kuza-gar ki tawajjoh thi aur samt
warna hamari KHak se kya kya nahin bana
soi hui ana mere aaDe rahi sada
koshish ke bawajud bhi kasa nahin bana
ye bhi teri shikast nahin hai to aur kya
jaisa tu chahta tha main waisa nahin bana
warna hum aise log kahan Thahrte yahan
hum se falak ki samt ka zina nahin bana
jitne kamal-rang the sare liye gae
phir bhi tere jamal ka naqsha nahin bana
roka gaya hai waqt se pahle hi mera chaak
mujh ko ye lag raha hai main pura nahin bana
Ghazal
Main wahshat-o-junun mein tamasha nahin bana
Ahmad Khayal