main tujhe aaya hun iman bujh kar
bais-e-jamiyyat-e-jaan bujh kar
bulbul-e-shiraaz kun karta hun yaad
husn kun tere gulistan bujh kar
dil chala hai ishq ka ho jauhari
lab tere lal-e-badaKHshan bujh kar
har na karti hai nazare ki mashaq
KHat kun tere KHatt-e-raihan bujh kar
ai sajan aaya hun ho be-iKHtiyar
tujh kun apna rahat-e-jaan bujh kar
zulf teri kyun na khae pech-o-tab
haal mujh dil ka pareshan bujh kar
rahm kar us par ki aaya hai 'wali'
dard-e-dil ka tujh kun darman bujh kar

Ghazal
Main tujhe aaya hun iman bujh kar
Wali Mohammad Wali