main talKHi-e-hayat se ghabra ke pi gaya
gham ki siyah raat se ghabra ke pi gaya
itni daqiq shai koi kaise samajh sake
yazdan ke waqiat se ghabra ke pi gaya
chhalke hue the jam pareshan thi zulf-e-yar
kuchh aise hadsat se ghabra ke pi gaya
main aadmi hun koi farishta nahin huzur
main aaj apni zat se ghabra ke pi gaya
duniya-e-hadsat hai ek dardnak git
duniya-e-hadsat se ghabra ke pi gaya
kanTe to KHair kanTe hain is ka gila hi kya
phulon ki wardat se ghabra ke pi gaya
'saghar' wo kah rahe the ki pi lijiye huzur
un ki guzarishat se ghabra ke pi gaya
Ghazal
Main talKHi-e-hayat se ghabra ke pi gaya
Saghar Siddiqui