اردو हिंदी
Main surKH phul ko chhu kar palaTne wala tha | Shaahi Shayari
main surKH phul ko chhu kar palaTne wala tha

Ghazal

Main surKH phul ko chhu kar palaTne wala tha

Dilawar Ali Aazar

;

main surKH phul ko chhu kar palaTne wala tha
wo jazb tha ki mera jism kaTne wala tha

us ek rang se paida hui ye qaus-e-quzah
wo ek rang jo manzar se haTne wala tha

mere qarib hi ek taq mein kitaben thin
magar ye dhyan kahin aur baTne wala tha

ajib shan se utri thi dhup KHwahish ki
main apne sae se jaise lipaTne wala tha

tawil guftugu hoti rahi sitaron se
nigar-KHana-e-hasti ulaTne wala tha

zamin pe aamad-e-adam ka shor barpa hua
wagarna rizq farishton mein baTne wala tha

KHuda ka shukr hai nashsha utar gaya mera
ki main subu mein samundar ulaTne wala tha

lapak rahi thi koi aag is taraf 'azar'
main us se dur bahut dur haTne wala tha