main sach kahun pas-e-diwar jhuT bolte hain 
mere KHilaf mere yar jhuT bolte hain 
mili hai jab se unhen bolne ki aazadi 
tamam shahr ke aKHbar jhuT bolte hain 
main mar chuka hun mujhe kyun yaqin nahin aata 
to kya ye mere aza-dar jhuT bolte hain 
ye shahr-e-ishq bahut jald ujaDne wala hai 
dukan-dar o KHaridar jhuT bolte hain 
bata rahi hai ye taqrib-e-mimbar-o-mehrab 
ki muttaqi o riya-kar jhuT bolte hain 
qadam qadam pe nai dastan sunate log 
qadam qadam pe kai bar jhuT bolte hain 
main sochta hun ki dam len to main unhen Tokun 
magar ye log lagatar jhuT bolte hain 
hamare shahr mein 'ami' munafiqat hai bahut 
makin kya dar-o-diwar jhuT bolte hain
        Ghazal
Main sach kahun pas-e-diwar jhuT bolte hain
Imran Aami

