main ro raha hun jo dil ko to bekasi ke liye
wagar na maut to duniya mein hai sabhi ke liye
shab-e-firaq ki rozana aafaten tauba
ye imtihan to hota kabhi kabhi ke liye
bahut si umr miTa kar jise banaya tha
makan wo jal gaya thoDi si raushni ke liye
wasia bazm-e-jahan hai to ho mujhe kya kaam
jagah mili na meri hasrat-dili ke liye
ye aur daman-e-qatil hai chhuT jaega
lahu mein josh to barson se tha isi ke liye
na aankh band karun main to kya karun yarab
wo aa rahe hain tamasha-e-jaan-kani ke liye
bula ke mujh ko nikala hai apni mahfil se
wo nekiyan nahin achchhi hain jo ho badi ke liye
qafas mein aaj tamasha-e-gham hai qabil-e-did
taDap raha hun main sayyaad ki KHushi ke liye
tamam ho gae hum ek nigah-e-qatil se
ragen gale ki taDapti rahin chhuri ke liye
farogh-e-husn baDha dil ki be-nawai se
faqir ho gaya shan-e-tawangari ke liye
qafas mein chup na hon to kya karun ki ye qaidi
na dosti ke liye hai na dushmani ke liye
tamam bazm mein chhaya hua hai sannaTa
chhuDa tha qissa-e-dil un ki dil-lagi ke liye
shikayat-e-chaman-e-dahr kya karun 'saqib'
hawa KHilaf hai lekin kisi kisi ke liye

Ghazal
Main ro raha hun jo dil ko to bekasi ke liye
Saqib Lakhnavi