main ne kaha ki dawa-e-ulfat magar ghalat
kahne lage ki han ghalat aur kis qadar ghalat
tasir-e-ah-o-zari-e-shab-ha-e-tar jhuT
aawaza-e-qubul dua-e-sahar ghalat
soz-e-jigar se honT pe tabKHala iftira
shor-e-fughan se jumbish-e-diwar-o-dar ghalat
han sine se numaish dagh-e-darun darogh
han aankh se tarawish-e-KHun-e-jigar ghalat
aa jae koi dam mein to kya kuchh na kijiye
ishq-e-majaz-o-chashm-e-haqiqat-nigar ghalat
bos-o-kanar ke liye ye sab fareb hain
izhaar-e-pak-bazi-o-zauq-e-nazar ghalat
lo sahab aaftab kahan aur hum kahan
ahmaq banen hum is ko na samjhen agar ghalat
sine mein apne jaante ho tum ki dil nahin
hum ko samajhte ho ki hai in ki kamar ghalat
kahna ada ko tegh KHushamad ki baat hai
sine ko apni us ki samajhna sipar ghalat
miTTi mein kya dhari thi ki chupke se saunp di
jaan-e-aziz peshkash-e-nama-bar ghalat
puchho to koi mar ke bhi karta hai kuchh kalam
kahte ho jaan di hai sar-e-rah-guzar ghalat
hum puchhte phiren ki janaza kidhar gaya
marne ki apni rose uDani KHabar ghalat
aayat nahin hadis nahin jis ko maniye
hai nazm-o-nasr ahl-e-suKHan sar-basar ghalat
ye kuchh suna jawab mein 'nazim' sitam kiya
kyun ye kaha ki dawa-e-ulfat magar ghalat

Ghazal
Maine kaha ki da۔awa-e-ulfat magar ghalat
Syed Yusuf Ali Khan Nazim