main ne kabhi nazar na ki dil-kashi-e-hayat par
meri tamam zindagi un ki jamaliyat par
mujh ko hayat ke siwa chahiye ek gham-e-hayat
tab-e-gham-afrin meri rah na saki hayat par
wo bhi ghayur o sharmgin dil bhi nazakat-afrin
choT lagi hai baat se baat baDhi hai baat par
chand hai aur chandni husn hai aur husn-e-yar
mere hazar din nisar husn ki ek raat par
husn yahan nazar-fareb dard yahan jigar-gudaz
hae ki miT gaya 'nushur' jalwa-e-be-sabaat par
Ghazal
Maine kabhi nazar na ki dil-kashi-e-hayat par
Nushur Wahidi

