اردو हिंदी
Maine hi na kuchh khoya jo paya na kisi ko | Shaahi Shayari
maine hi na kuchh khoya jo paya na kisi ko

Ghazal

Maine hi na kuchh khoya jo paya na kisi ko

Shohrat Bukhari

;

main ne hi na kuchh khoya jo paya na kisi ko
us ne bhi to pura na kiya meri kami ko

hai maujzan ek qulzum-e-KHun sine mein ab tak
darkar nahin aur meri tishna-labi ko

hanste unhen dekha to bahut phuT ke roe
jo log taraste rahe ek umr hansi ko

kuchh aisi tabiat mili hum ahl-e-chaman ko
bardasht kiya hai kabhi shabnam na kali ko

har ashk ajab gauhar-e-yak-dana hai 'shohrat'
girya baDi daulat hai jo milti hai kisi ko