main ne bhi apne dhyan mein apna safar kiya
us ne bhi raste ko zara muKHtasar kiya
puchho ki us ke zehn mein naqsha bhi hai koi
jis ne bhare jahan ko zer-o-zabar kiya
sab fasle meri hi KHata the mujhe qubul
lekin teri sada ne bhi kitna safar kiya
ek roz baDh ke chum liye main ne us ke honT
apne tamam zahr ko yun be-asar kiya
wo wird kar raha tha kisi aur nam ka
tawiz ne mariz pe ulTa asar kiya
mujh ko thi na-pasand use shairi pasand
thak-haar ke ye aib bhi aaKHir hunar kiya

Ghazal
Maine bhi apne dhyan mein apna safar kiya
Nomaan Shauque