main kya karun koi sab mere iKHtiyar mein hai
safar mein hai to bahut kuchh magar ghubar mein hai
charagh-e-subh se hum lau lagae baiThe hain
suna hai jab se ki ek gul bhi is sharar mein hai
uDa ke sar wo hatheli pe rakh bhi deta hai
bhali ye baat to mano ki shahryar mein hai
kali khile to gareban yaad aata hai
ye dukh KHizan mein kahan tha jo ab bahaar mein hai
hayat sabza-o-gul se tawil hai us ki
tumhaare ashk mera KHun kuchh to KHar mein hai
hujum us ki gali mein hai sarfaroshon ka
'suhail' laghar o laffaz kis shumar mein hai
Ghazal
Main kya karun koi sab mere iKHtiyar mein hai
Suhail Ahmed Zaidi

