main kho gaya to shahr-e-fan mein dastiyab ho gaya
yahan jo harf miT gaya wahan kitab ho gaya
wo ek nazar to kuchh na thi ki rah se bhaTak gai
palaT ke us ko dekhna yahi azab ho gaya
hamari fahm-e-na-rasa ke waste bacha hi kya
ki husn-e-kaenat to tera naqab ho gaya
gunah mere yaad kar ke zaKHm sare hans paDe
lahu lahu badan mera khila gulab ho gaya
ziyan o sud miT gae karam pe us ke rah gae
hamari sari zindagi ka ye hisab ho gaya
wajud jal ke rah gaya sharar-e-la-shuur se
bhara paDa makan tha khanDar KHarab ho gaya
'suhail' shor-e-shahr se panah ab kahin nahin
huruf reza reza hain suKHan KHarab ho gaya
Ghazal
Main kho gaya to shahr-e-fan mein dastiyab ho gaya
Suhail Ahmed Zaidi

