main jo sahra mein kisi peD ka saya hota
dil-zada koi ghaDi bhar ko to Thahra hota
ab to wo shaKH bhi shayad hi gulistan mein mile
kash is phul ko us waqt hi toDa hota
waqt fursat nahin dega hamein muDne ki kabhi
aage baDhte hue hum ne jo ye socha hota
hanste hanste jo hamein chhoD gaya hai hairan
ab rulane ke liye yaad na aaya hota
waqt-e-ruKHsat bhi nirali hi rahi dhaj teri
jate jate zara muD ke bhi to dekha hota
kis se puchhen ki wahan kaisi guzar hoti hai
dost apna kabhi ahwal hi likkha hota
aisa lagta hai ki bas KHwab se jaga hun abhi
sochta hun ki jo ye KHwab na TuTa hota
zindagi phir bhi thi dushwar bahut hi dushwar
har qadam sath agar ek masiha hota
ek mahfil hai ki din raat bapa rahti hai
chand lamhon ke liye kash main tanha hota
Ghazal
Main jo sahra mein kisi peD ka saya hota
Partav Rohila