main jis ko bhul jaane ka irada kar raha hun
usi ko yaad pahle se ziyaada kar raha hun
hai ye bhi dusron ko pyas ka ehsas shayad
suhani rut hai aur main tark-e-baada kar raha hun
mubarak ho jo tu manzil-ba-manzil baDh raha hai
to main bhi yaad tujh ko jada jada kar raha hun
nahin minnat-kash-e-ehsan kisi ka rahguzar mein
main tanha hun safar bhi pa-piyaada kar raha hun
saha jata nahin ab ranj-e-mahrumi-e-manzil
safar hi tark kar dun ye irada kar raha hun
ulajhta hun masafat ki tawalat se main jitna
masafat ko main utna hi ziyaada kar raha hun
main insan hun ye mere irtiqa ki hai alamat
ki main insaniyat ko be-labaada kar raha hun
samata hi nahin koi meri naqis nazar mein
main apni zat hi se istifada kar raha hun
safar bhi ho mayassar wo bhi din qismat dikhae
main barson se irada hi irada kar raha hun
tere qaul-o-qasam jin ko ki tu bhula hua hai
teri jaanib se main un ka iada kar raha hun
'waqar' ajdad ki tariKH paDh lun az-sar-e-nau
murattab hi jab apna KHanwada kar raha hun

Ghazal
Main jis ko bhul jaane ka irada kar raha hun
Waqar Manvi