main jis ke sath 'zafar' umr bhar uTha baiTha
wo jaane aaj hai kyun ajnabi bana baiTha
shikayat us se nahin apne-ap se hai mujhe
wo bewafa tha to main aas kyun laga baiTha
jo mere waste buniyaad tha mohabbat ki
main us KHayal ki diwar hi gira baiTha
buland parcham-e-azm-e-safar main kya rakhta
mere qarib hi mera ghubar aa baiTha
samaaton ki fasilon pe aisa pahra tha
ki phaDphaData hua tair-e-sada baiTha
mila wo raat mujhe mahfil-e-masarrat mein
to main adab se nahin dukh se dur ja baiTha
'zafar' batao use hath kya laga sakta
jise main dekh ke binai hi ganwa baiTha
Ghazal
Main jis ke sath zafar umr bhar uTha baiTha
Sabir Zafar