main jab chhoTa sa tha kaghaz pe ye manzar banata tha
khujuron ke daraKHton ke tale ek ghar banata tha
main aankhen band kar ke sochta rahta tha pahron tak
KHayalon mein bahut nazuk sa ek paikar banata tha
main akasr aasman ke chand tare toD lata tha
aur ek nannhi si guDiya ke liye zewar banata tha
uDa kar roz le jati thin maujen mere KHwabon ko
magar main bhi gharaunde roz sahil par banata tha
meri basti mein mere KHun ke pyase the sab lekin
na main talwar gaDhta tha na main KHanjar banata tha
hidayat-kar is duniya ke naTak mein mujhe 'wali'
kabhi hero banata tha kabhi joker banata tha

Ghazal
Main jab chhoTa sa tha kaghaz pe ye manzar banata tha
Wali Aasi