main hun raat ka ek baja hai
KHali rasta bol raha hai
aaj to yun KHamosh hai duniya
jaise kuchh hone wala hai
kaisi andheri raat hai dekho
apne aap se Dar lagta hai
aaj to shahr ki rawish rawish par
patton ka mela sa laga hai
aao ghas pe sabha jamaen
mai-KHana to band paDa hai
phul to sare jhaD gae lekin
teri yaad ka zaKHm hara hai
tu ne jitna pyar kiya tha
dukh bhi mujhe utna hi diya hai
ye bhi hai ek tarah ki mohabbat
main tujh se tu mujh se juda hai
ye teri manzil wo mera rasta
tera mera sath hi kya hai
main ne to ek baat kahi thi
kya tu sach-much ruTh gaya hai
aisa gahak kaun hai jis ne
sukh de kar dukh mol liya hai
tera rasta takte takte
khet gagan ka sukh chala hai
khiDki khol ke dekh to bahar
der se koi shaKHs khaDa hai
sari basti so gai 'nasir'
tu ab tak kyun jag raha hai
Ghazal
Main hun raat ka ek baja hai
Nasir Kazmi