اردو हिंदी
Main guftugu hun ki tahrir ke jahan mein hun | Shaahi Shayari
main guftugu hun ki tahrir ke jahan mein hun

Ghazal

Main guftugu hun ki tahrir ke jahan mein hun

Adeem Hashmi

;

main guftugu hun ki tahrir ke jahan mein hun
mujhe samajh to sahi main teri zaban mein hun

KHud apni sans ki rukti hai apne chalne se
ye kya ghuTan hai main kis tang se makan mein hun

jila raha hai mare jism ko mera hi kamal
main ek tir hun TuTi hui kaman mein hun

guzar rahi hai mare sar se gahakon ki nigah
zara si chiz hun lekin baDi dukan mein hun

mere qarib se guzra nahin hai sang-tarash
mujassama hun main ab tak magar chaTan mein hun

mujhi mein gunj rahi hai mere suKHan ki sada
nawa-e-garm hun main dasht-e-be-zaban mein hun

'adim' baiTha hua hun paron ke Dher pe main
KHush is tarah hun ki jaise kisi uDan mein hun