اردو हिंदी
Main fard-e-jurm teri tayyar kar raha hun | Shaahi Shayari
main fard-e-jurm teri tayyar kar raha hun

Ghazal

Main fard-e-jurm teri tayyar kar raha hun

Obaid Siddiqi

;

main fard-e-jurm teri tayyar kar raha hun
ai aasman sun le hushyar kar raha hun

ek had bana raha hun shahr-e-hawas mein apni
dar kholne ki KHatir diwar kar raha hun

malum hai na hogi puri ye aarzu bhi
phir dil ko be-sabab kyun bimar kar raha hun

phulon-bhari ye shaKHen banhon si lag rahi hain
ab kya bataun kis ka didar kar raha hun

ye raste ki jin par chalta raha hun barson
aaindagan ki KHatir hamwar kar raha hun

aasaniyon mein jina mushkil sa ho gaya hai
main zindagi ko thoDa dushwar kar raha hun

same bana liya hai raaton ko main ne apna
ghazlen suna suna ke sarshaar kar raha hun