اردو हिंदी
Main DhunDhta hun jise aaj bhi hawa ki tarah | Shaahi Shayari
main DhunDhta hun jise aaj bhi hawa ki tarah

Ghazal

Main DhunDhta hun jise aaj bhi hawa ki tarah

Kumar Pashi

;

main DhunDhta hun jise aaj bhi hawa ki tarah
wo kho gaya hai KHala mein meri sada ki tarah

na puchh mujh se mera qissa-e-zawal-e-junun
main paniyon pe barasta raha ghaTa ki tarah

tamam umr raha hun main jism mein mahsur
tamam umr kaTi hai meri saza ki tarah

utar de koi mujh par se ye badan ki rida
ki mar Dale mujhe bhi mere KHuda ki tarah

nikharta jae yunhi rang-e-sham ai 'pashi'
bikharta jaun yun hi main gul-e-nawa ki tarah