اردو हिंदी
Main chup rahun to goya ranj-o-gham-e-nihan hun | Shaahi Shayari
main chup rahun to goya ranj-o-gham-e-nihan hun

Ghazal

Main chup rahun to goya ranj-o-gham-e-nihan hun

Parveen Umm-e-Mushtaq

;

main chup rahun to goya ranj-o-gham-e-nihan hun
bolun to sar se pa tak hasrat ki dastan hun

masrur ho tu mujh se main tujh se shadman hun
tu mera mehman ho main tera mezban hun

kahti hai un ki masti hosh aae to main puchhun
ai be-KHudi bata de is waqt main kahan hun

irshad par nazar hai KHamosh hun ki goya
chaho to be-zaban hun chaho to ba-zaban hun

jaan ghul chuki hai gham mein ek tan hai wo bhi mohmal
mani nahin hain bilkul mujh mein agar bayan hun

main hun junun ke hathon maKHluq ka tamasha
na-mehrban hun KHud par duniya pe mehrban hun

allah-re us ki chaukhaT hai bosa-gah-e-alam
kahta hai sang-e-aswad main sang-e-astan hun

kahta hai mera nala lab tak main aate aate
sau ja thama hun rah mein is darja na-tawan hun

nafrat ho jis ko mujh se milne ka us se hasil
nazron mein kyun subuk hun KHatir pe kyun giran hun

muddat mein tum mile ho kyun zikr-e-ghair aae
main apne sae se bhi KHalwat mein bad-guman hun

chup rah gaya payami lekin ye KHair guzri
KHat ne kaha ki suniye 'parwin' ki main zaban hun