اردو हिंदी
Main bura hi sahi bhala na sahi | Shaahi Shayari
main bura hi sahi bhala na sahi

Ghazal

Main bura hi sahi bhala na sahi

Aish Dehlvi

;

main bura hi sahi bhala na sahi
par teri kaun si jafa na sahi

dard-e-dil hum to un se kah guzre
gar unhon ne nahin suna na sahi

shab-e-gham mein bala se shaghl to hai
nala-e-dil mera rasa na sahi

dil bhi apna nahin raha na rahe
ye bhi ai charKH-e-fitna-za na sahi

dekh to lenge wo agar aae
taqat-e-arz-e-muddaa na sahi

kuchh to aashiq se chheD-chhaD rahi
kaj-adai sahi ada na sahi

kyun bura mante ho shikwa mera
chalo beja sahi ba-ja na sahi

uqda-e-dil hamara ya qismat
na khula tujh se ai saba na sahi

waizo banda-e-KHuda to hai 'aish'
hum ne mana wo parsa na sahi