main apne dil ki tarah aaina bana hua hun 
so hairaton ke liye masala bana hua hun 
pahunch to sakta tha manzil pe main magar ai dost 
main dusron ke liye rasta bana hua hun 
main jab chala tha to apne bhi mujh ko chhoD gae 
aur aaj dekh lo main qafila bana hua hun 
sitam to ye hai ki hai meri dastan aur main 
sharik-e-matn nahin hashiya bana hua hun 
kabhi tha qais kabhi 'mir' aur ab 'fartash' 
suluk-e-ishq ka ek silsila bana hua hun
        Ghazal
Main apne dil ki tarah aaina bana hua hun
Fartash Syed

