اردو हिंदी
Main apne aap se ek khel karne wala hun | Shaahi Shayari
main apne aap se ek khel karne wala hun

Ghazal

Main apne aap se ek khel karne wala hun

Azad Gulati

;

main apne aap se ek khel karne wala hun
sabhi ye soch rahe hain ki marne wala hun

kisi ki yaad ka mahtab Dubne ko hai
main phir se shab ki tahon mein utarne wala hun

sameT lo mujhe apni sada ke halqon mein
main KHamushi ki hawa se bikharne wala hun

mujhe Dubone ka manzar hasin tha lekin
hasin-tar hai ye manzar ubharne wala hun

hayat farz thi ya qarz kaTne wali hai
main jism o jaan ki hadon se guzarne wala hun

main sath le ke chalunga tumhein ai ham-safaro
main tum se aage hun lekin Thaharne wala hun

sada-e-dasht sahi meri zindagi 'azad'
KHala-e-dasht ko apne se bharne wala hun