main apna nam tere jism par likha dekhun
dikhai dega abhi battiyan bujha dekhun
phir us ko paun mera intizar karte hue
phir us makan ka darwaza adh-khula dekhun
ghaTaen aaen to ghar ghar ko Dubta paun
hawa chale to har ek peD ko gira dekhun
kitab kholun to harfon mein khalbali mach jae
qalam uThaun to kaghaz ko phailta dekhun
utar phenkun badan se phaTi purani qamis
badan qamis se baDh kar kaTa-phaTa dekhun
wahin kahin na paDi ho tamanna jine ki
phir ek bar unhin jangalon mein ja dekhun
wo roz sham ko 'alwi' idhar se jati hai
to kya main aaj use apne ghar bula dekhun
Ghazal
Main apna nam tere jism par likha dekhun
Mohammad Alvi