main aks-e-arzu tha hawa le gai mujhe
zindan-e-ab-o-gil se chhuDa le gai mujhe
kya bach raha tha jis ka tamasha wo dekhta
daman mein apne KHak chhupa le gai mujhe
kuchh dur tak to chamki thi mere lahu ki dhaar
phir raat apne sath baha le gai mujhe
juz tirgi na hath laga us ka kuchh suragh
kin manzilon se gard-e-nawa le gai mujhe
kis ko guman tha ki kahan ja raha hun main
ek sham aai aur bula le gai mujhe
parwaz ki hawas ne asir-e-falak rakha
ruKHsat hui to dam mein Dale gai mujhe
sakit khaDa tha waqt magar tesha-zan hawa
patthar ki tah se 'zeb' nikale gai mujhe
Ghazal
Main aks-e-arzu tha hawa le gai mujhe
Zeb Ghauri