اردو हिंदी
Mai-kashi ab meri aadat ke siwa kuchh bhi nahin | Shaahi Shayari
mai-kashi ab meri aadat ke siwa kuchh bhi nahin

Ghazal

Mai-kashi ab meri aadat ke siwa kuchh bhi nahin

Jaan Nisar Akhtar

;

mai-kashi ab meri aadat ke siwa kuchh bhi nahin
ye bhi ek talKH haqiqat ke siwa kuchh bhi nahin

fitna-e-aql ke juya meri duniya se guzar
meri duniya mein mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin

dil mein wo shorish-e-jazbaat kahan tere baghair
ek KHamosh qayamat ke siwa kuchh bhi nahin

mujh ko KHud apni jawani ki qasam hai ki ye ishq
ek jawani ki shararat ke siwa kuchh bhi nahin