mai-e-gul-gun ke jo shishe mein pari rahti hai
chash-maston mein ajab jalwagari rahti hai
hai phandit ek wo banka ki laDe jab tak aankh
mardumak panja-e-mizhgan mein bhari rahti hai
bagh mein jab wo gul-e-taza-bahaar aata hai
bu-e-gul phir to hawa par hi dhari rahti hai
nala bulbul hai chaman-zar hai dil daghon se
aah ta-subh nasim-e-sahari rahti hai
mohtasib duKHtar-e-raz hum se jo tu aaj milae
bazm-e-maston mein teri mo'tabari rahti hai
saltanat faqr ki jin ko hi nahin pesh-e-nigah
kauDi aur ashrafi yaksan-nazari rahti hai
lab-o-chashm apne hain ek aalam-e-KHushki-o-tari
ishq mein saltanat-e-bahr-o-bahri rahti hai
ashk-bari se gham-o-dard ki kheti-baDi
lahlahi si nazar aati hai hari rahti hai
ru tera kuhl basar ho na use to be-wajh
chashm mein aaine ke be-basari rahti hai
aabru pati thi KHushki ba-kamal istighna
aab-e-dariya ke na hone mein tari rahti hai
tosha-KHana hai tera gumbad-e-gardun jis mein
mehr-o-mah se teri dastar zari rahti hai
hai jo aghyar ke har dam ki teri aamad-o-shud
jism mein jaan hamari safari rahti hai
din-o-dil bikte hain hote hain gham-e-dard KHarid
tere kuche mein lagi ek guzri rahti hai
be-nishan zaKHm se us tir-e-nigah ke dil mein
dard rahta hai na paikan na sari rahti hai
dil ko bhi Dubti kyunkar na nazar aae 'muhib'
kashti-e-chashm to pani se bhari rahti hai

Ghazal
Mai-e-gul-gun ke jo shishe mein pari rahti hai
Waliullah Muhib