اردو हिंदी
Mahw hun main jo us sitamgar ka | Shaahi Shayari
mahw hun main jo us sitamgar ka

Ghazal

Mahw hun main jo us sitamgar ka

Shefta Mustafa Khan

;

mahw hun main jo us sitamgar ka
hai gila apne haal-e-abtar ka

haal likhta hun jaan-e-muztar ka
rag-e-bismil hai tar mistar ka

aankh phirne se teri mujh ko hua
gardish-e-dahr daur saghar ka

shola-ru yar shola-rang sharab
kaam yan kya hai daman-e-tar ka

shauq ko aaj be-qarari hai
aur wada hai roz-e-mahshar ka

naqsh-e-tasKHir-e-ghair ko us ne
KHun liya to mere kabutar ka

meri nakaami se falak ko husul
kaam hai ye usi sitamgar ka

us ne aashiq likha adu ko laqab
hae likkha mere muqaddar ka

aap se lahza lahza jate ho
'shefta' hai KHayal kis ghar ka