اردو हिंदी
Mahtab-sifat log yahan KHak-basar hain | Shaahi Shayari
mahtab-sifat log yahan KHak-basar hain

Ghazal

Mahtab-sifat log yahan KHak-basar hain

Habib Jalib

;

mahtab-sifat log yahan KHak-basar hain
hum mahw-e-tamasha-e-sar-e-rah-guzar hain

hasrat si barasti hai dar-o-baam pe har su
roti hui galiyan hain sisakte hue ghar hain

aae the yahan jin ke tasawwur ke sahaare
wo chand wo suraj wo shab-o-roz kidhar hain

soe ho ghani zulf ke sae mein abhi tak
ai rah-rawan kya yahi andaz-e-safar hain

wo log qadam jin ke liye kahkashan ne
wo log bhi ai ham-nafaso hum se bashar hain

bik jaen jo har shaKHs ke hathon sar-e-bazar
hum yusuf-e-kanan hain na hum lal-o-gohar hain

hum log milenge to mohabbat se milenge
hum nuzhat-e-mahtab hain hum nur-e-sahar hain