mahtab hai na aks-e-ruKH-e-yar ab koi
kaTe to kis tarah ye shab-e-tar ab koi
mumkin hai dast-o-bazu-e-qatil to thak bhi jae
shayad thame na dida-e-KHunbar ab koi
ahl-e-jafa se kahna tarashen salib-o-dar
shayan-e-sarw-qamat-e-dil-dar ab koi
har ahd mein agarche raha jurm harf-e-haq
shayad na aae hum sa gunahgar ab koi
han ai junun 'sarmad'-o-'mansur' ko nawed
is dhaj se aaega na sar-e-dar ab koi
shahr-e-hawas mein qadr-e-wafa tere dam se thi
is jins ka nahin hai KHaridar ab koi
ai kaj-kulah-e-abla-payan-e-rah-e-shauq
shayad hi gul khilae sar-e-KHar ab koi
jitna lahu tha sarf-e-qaba ho chuka tamam
ku-e-wafa mein aae na zinhaar ab koi
Ghazal
Mahtab hai na aks-e-ruKH-e-yar ab koi
Shahid Ishqi

