اردو हिंदी
Mahsus kyun na ho mujhe beganagi bahut | Shaahi Shayari
mahsus kyun na ho mujhe beganagi bahut

Ghazal

Mahsus kyun na ho mujhe beganagi bahut

Sahar Ansari

;

mahsus kyun na ho mujhe beganagi bahut
main bhi to is dayar mein hun ajnabi bahut

-asan nahin hai kashmakash-e-zat ka safar
hai aagahi ke baad gham-e-agahi bahut

har shaKHs pur-KHulus hai har shaKHs ba-wafa
aati hai apni sada dili par hansi bahut

us jaan-e-jaan se qat-e-talluq ke bawajud
us rahguzar mein aaj bhi hai dilkashi bahut

is waz-e-ehtiyat ki zanjir ke liye
main ne bhi ki hai shahr mein aawargi bahut

msatana-war wadi-e-gham tai karo 'sahar'
baqi hain zindagi ke taqaze abhi bahut