mahfil mein to bas wo saj raha hai
apne ko jo kuchh samajh raha hai
dastak tere hath ki hai lekin
darwaza hawa se baj raha hai
nikla tha main ghar se munh-andhere
ab raat ka ek baj raha hai
phir KHud ko dikhai de gaya hun
phir soch ka tar ulajh raha hai
is daur ka hai wahi payambar
jo apne huquq taj raha hai
kya ho jo kahin baras paDe wo
ab tak jo faqat garaj raha hai
itna bhi nahin hun main to 'rashid'
jitna mujhe wo samajh raha hai
Ghazal
Mahfil mein to bas wo saj raha hai
Rashid Mufti

