اردو हिंदी
Mahfil mein shor-e-qulqul-e-mina-e-mul hua | Shaahi Shayari
mahfil mein shor-e-qulqul-e-mina-e-mul hua

Ghazal

Mahfil mein shor-e-qulqul-e-mina-e-mul hua

Sheikh Ibrahim Zauq

;

mahfil mein shor-e-qulqul-e-mina-e-mul hua
la saqiya pyala ki tauba ka qul hua

jin ki nazar chaDha tera ruKHsar-e-atishin
un ka charagh-e-gor na ta-hashr gul hua

banda-nawaziyan to ye dekho ki aadmi
juzw-e-zaif mahram-e-asrar-e-kul hua

dariya-e-gham se mere guzarne ke waste
tegh-e-KHamida yar ki lohe ka pul hua

parwana bhi tha garm-e-tapish par khula na raaz
bulbul ki tang-hauslagi thi ki ghul hua

aai tahi-daron ki na hargiz samajh mein baat
aawaza go buland misal-e-duhul hua

us bin raha chaman mein bhi main 'zauq' dil-KHarash
naKHun se tez-tar mujhe har barg-e-gul hua