mahfil mein ghair hi ko na har bar dekhna
meri taraf bhi bhul ke sarkar dekhna
aaghaz-e-sabza se hai jo ruKHsar par ghubar
agle baras ise KHat-e-gulzar dekhna
jab sarf-e-guftugu hun to dekhe unhen koi
manzur ho jo abr-e-guhar-bar dekhna
main ne kaha ki hijr mein kuchh mashghala nahin
bole ki raat din dar-o-diwar dekhna
kahta hun jab main un se banaw-singhaar ko
kahte hain koi aur trahdar dekhna
main jaan bhi daregh karun to gunahgar
mere siwa na aur KHaridar dekhna
wo mujh se puchhte hain ki kuchh aib to nahin
raftar dekhna meri guftar dekhna
shaiKH-e-zaman qadim rawish ke buzurg hain
kitna baDa hai gumbad-e-dastar dekhna
wo bar bar dekhte hain aaine mein munh
allah un ka ru-e-pur-anwar dekhna
chalte hain ku-e-yar mein hai waqt-e-imtihan
himmat na haarna dil-e-bimar dekhna
hoshiyar phunk phunk ke rakhna yahan qadam
'parwin' zara zamane ki raftar dekhna
Ghazal
Mahfil mein ghair hi ko na har bar dekhna
Parveen Umm-e-Mushtaq

