mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae 
dekhte hi dekhte hum kya se kya hote gae 
na-shanasi dahr ki tanha hamein karti gai 
hote hote hum zamane se juda hote gae 
muntazir jaise the dar shahar-e-firaq-asar ke 
ek zara dastak hui dar dam mein wa hote gae 
harf parda-posh the izhaar-e-dil ke bab mein 
harf jitne shahr mein the harf-e-la hote gae 
waqt kis tezi se guzra roz-marra mein 'munir' 
aaj kal hota gaya aur din hawa hote gae
        Ghazal
Mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae
Muneer Niyazi

