mahak uTTha yakayak regzar-e-dard-e-tanhai
kise ai yaad-e-jaanan tu yahan tak DhunDne aai
baDe dilchasp wade the baDe rangin dhoke the
gulon ki aarzu mein zindagi shole uTha lai
batao to andheron ki fasilon se pare aaKHir
kahan tak qafila guzra kahan tak raushni aai
tumhaare baad jaise jagta hai shab ka sannaTa
dar o diwar ko deta hai koi izn-e-goyai
suna hai saya-e-ruKHsar mein kuchh der Thahri thi
wahin se jagmagate KHwab le kar zindagi aai
Ghazal
Mahak uTTha yakayak regzar-e-dard-e-tanhai
Khurshid Ahmad Jami