mah-jabinon ki mohabbat ka natija na mila
murghiyan palin magar ek bhi anDa na mila
husn-e-KHud-bin na mila husn-e-KHud-ara na mila
jab main sasural gaya ek bhi sala na mila
kis tarah jata koi manzil-e-maqsad ki taraf
koi yakka koi tanga koi rickshaw na mila
nazar aaya na kahin naseh-e-nadan mera
justuju jis ki thi wo miTTi ka babuwa na mila
ab ki nakaam raha qaid-e-mulk-o-millat
ab ki barbaadi-e-aqwam ka Theka na mila
shaiKH-sahib ke talawwun ka fusun hai ye bhi
masjidon mein kabhi ek miTTi ka badhna na mila
ai gham-e-dost ziyafat main teri kya karta
ek KHurak se ration hi ziyaada na mila
lakh bazar-e-mohabbat ke lagae phere
be-waqufi ke siwa aur koi sauda na mila
kis tarah se koi tamir-e-nasheman karta
kabhi sutli na mili aur kabhi seTha na mila
dost ki shirin-bayani ka maza kya kahiye
aisi barfi kabhi aisa kabhi peDa na mila
rakkhe hi rakkhe hui jins-e-karam sab barbaad
ek bhuke ko magar pao bhar aaTa na mila
hath aaega na parwana-e-jannat ai qaum
shaiKH-sahib ko agar halwa paraTha na mila
kis tarah se kisi tamir ki hoti takmil
waqt par jab kabhi inTa kabhi gara na mila
aaj shamshir-e-barhana wo liye phirte hain
jin ke ghar mein kabhi ek bans ka phaTTa na mila

Ghazal
Mah-jabinon ki mohabbat ka natija na mila
Shauq Bahraichi