maddah hun main dil se mohammad ki aal ka
mushtaq hun wasi-e-nabi ke jamal ka
KHwahan guhar ka hun na main talib hun lal ka
mushtaq hun tumhaare dahan ke ugal ka
dekho to ek ja pe Thaharti nahin nazar
lapka paDa hai aankh ko kya dekh-bhaal ka
kya un se faiz pahunche jo KHud tira-baKHt hain
khilte na dekha hum ne kabhi phul Dhaal ka
hum hain faqir daulat-e-duniya se kaam kya
behtar hai jam-e-jam se piyala sifal ka
dana dikha ke dam mein anqa ko launga
mazmun likh raha hun tere KHat-o-KHal ka
sau jaan se fida hun mohammad ke nam par
jis ne bataya farq haram o halal ka
wo aankh bhi uTha ke hamein dekhte nahin
rutba pahunch gaya hai ye ranj-o-malal ka
kis zindagi ke waste daulat ki aarzu
dekho natija ghaur se qarun ke mal ka
iqbaal gar nahin hai tu inkar kijiye
kuchh dijiye jawab hamare sawal ka
muTThi ko khol kar yad-e-baiza dikhate hain
naKHun pe un ke hota hai dhoka hilal ka
shaer ghazab ke hote hain hargiz na chukte
mauqa nahin dahan mein tere qil-o-qal ka
ai rashk-e-mehr wasl mein ghussa hai kis liye
ye waqt meri jaan nahin hai jalal ka
tariki-e-lahad se kuchh 'agha' na KHauf kar
daman hai tere hath mein zahra ke lal ka
Ghazal
Maddah hun main dil se mohammad ki aal ka
Aagha Akbarabadi