mar kar tir jo wo dilbar-e-jaani mange
kah do hum se na koi de ke nishani mange
ai sanam dekh ke har dam ki teri kam-suKHani
maut ghabra ke na kyun ye KHafaqani mange
KHak se tishna-e-didar ke sabza jo uThe
to zaban apni nikale hue pani mange
mar-e-pechan to bala haiga magar tu ai zulf
hai wo kafir ki na kaTa tera pani mange
dahan-e-yar ho aur mange kisi se dil ko
wo jo mange to ba-andaz-e-nihani mange
dil mera bosa-ba-paigham nahin hai hamdam
yar leta hai to le apni zabani mange
jalwa us aalam-e-mani ka jo dekhe ai 'zauq'
lutf-e-alfaz na be-husn-e-maani mange

Ghazal
Mar kar tir jo wo dilbar-e-jaani mange
Sheikh Ibrahim Zauq