mangi mil-jul kar jo rindon ne dua barsat ki
jhum kar aa hi gai kali ghaTa barsat ki
kyun na hun kali ghaTaen barq-za barsat ki
aag pani mein lagati hai hawa barsat ki
apni ummidon ki kheti hai hawa barsat ki
sal-bhar tak mangte hain hum dua barsat ki
ruh-parwar hai bahaar-e-jaan-faza barsat ki
kitni farhat-baKHsh hai ThanDi hawa barsat ki
sabza-e-KHwabida jage ji uThi murda zamin
kar gai kar-e-masihai ada barsat ki
ibtida jaan-e-KHarif aur intiha ruh-e-rabi
ibtida bhi hai wahi jo intiha barsat ki
allah allah gesu-e-mushkin-o-shab-gun ki bahaar
aasman par jis tarah kali ghaTa barsat ki
iltihab-o-siz-e-dil hain bais-e-sailab-e-ashk
hai azal ke din se garmi rahnuma barsat ki
apne miTne ke tasawwur mein hai rota aasman
aur haqiqat kuchh nahin us ke siwa barsat ki
mere ashkon ki jhaDi se pani pani ho gai
ban na aai aisi kuchh bigDi hawa barsat ki
apne daman mein liye zinat urus-e-nau-bahaar
oDh kar aai hai gulshan mein rida barsat ki
sard-o-garm-e-dahr ne khincha wo KHatt-e-etidal
Thik utri jism-e-fitrat par qaba barsat ki
ye ghazal likkhi to hai 'shoala' magar az ru-e-fan
de gai charka shikast-e-na-rawa barsat ki
Ghazal
Mangi mil-jul kar jo rindon ne dua barsat ki
Shola Kararvi

