lutf kya hai be-KHudi ka jab maza jata raha
yun na manun main magar saghar to samjhata raha
taq se mina utara panw mein laghzish hui
ki na saqi se barabar aankh sharmata raha
mujh sa ho mazbut dil tab mai-kashi ka nam le
mohtasib dekha kiya majbur jhhallata raha
kya karun aur kis tarah is be-qarari ka ilaj
yar ke kuche mein bhi tu dil ko bahlata raha
naujawan qatil ko achchhi dil-lagi hath aa gai
jab talak kuchh dam raha bismil ko Thukraata raha
'shad' waqt-e-naza tha KHamosh lekin der tak
nam rah rah kar kisi ka zer-e-lab aata raha
Ghazal
Lutf kya hai be-KHudi ka jab maza jata raha
Shad Azimabadi