log har moD pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain
itna Darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain
mai-kada zarf ke mear ka paimana hai
KHali shishon ki tarah log uchhalte kyun hain
moD hota hai jawani ka sambhalne ke liye
aur sab log yahin aa ke phisalte kyun hain
nind se mera talluq hi nahin barson se
KHwab aa aa ke meri chhat pe Tahalte kyun hain
main na jugnu hun diya hun na koi tara hun
raushni wale mere nam se jalte kyun hain
Ghazal
Log har moD pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain
Rahat Indori