اردو हिंदी
Log giton ka nagar yaad aaya | Shaahi Shayari
log giton ka nagar yaad aaya

Ghazal

Log giton ka nagar yaad aaya

Habib Jalib

;

log giton ka nagar yaad aaya
aaj pardes mein ghar yaad aaya

jab chale aae chaman-zar se hum
iltifat-e-gul-e-tar yaad aaya

teri begana-nigahi sar-e-sham
ye sitam ta-ba-sahar yaad aaya

hum zamane ka sitam bhul gae
jab tera lutf-e-nazar yaad aaya

to bhi masrur tha is shab sar-e-bazm
apne sheron ka asar yaad aaya

phir hua dard-e-tamanna bedar
phir dil-e-KHak-basar yaad aaya

hum jise bhul chuke the 'jalib'
phir wahi rahguzar yaad aaya