lipTi hui phirti hai nasim un ki qaba se
gul khilte hain har gam pe daman ki hawa se
dil aisa diya kyun ki raha kushta-a-jaanan
tum se nahin ye shikwa bhi karna hai KHuda se
mahram hain hamin garmi-e-guftar se un ki
jo honT jo aankhen hain giran-bar haya se
aahista karo chaak gulo apna gareban
gunje na chaman ghunchon ke hansne ki sada se
kholenge unhin hathon ke naKHun girah-e-dil
jo basta hain rangini-o-KHushbu-e-hina se
tabir ke sahraon mein hain KHwab-e-pareshan
dariya ko sarabon se sada dete hain pyase
lete ho agar nam-e-shahidan to hai ye shart
jaan jae rahe pa na haTen rah-e-wafa se

Ghazal
LipTi hui phirti hai nasim unki qaba se
Waheed Akhtar